Kahin dur hum, kahin aur chale,
Apni ‘routines’ choD, naye ‘routes’ chale,
Band kamron, band shaharon se nikale,
Naya josh, nayi umang liye chale. Kahin dur hum, kahin aur chale,
Baston mein padi dhul jhatkare,
Kapdo par thodi estri karale,
Naya rutba, naya tashan liye chale. Kahin dur hum, kahin aur chale,
Dosto ko liye mehfil jamaye,
Hasi gulla kar, thoda maan ko bahalaye,
Nayi kahaniyan, purane kisse sunaye.